Sunday, 5 August 2018

Shiv bhajan - Na chhidko o jata se ganga


Na chhidko o jata se ganga, meri Gaura bheeg jayegi
Tumhara kuch na bigdega, magar Gaura rooth jayegi
Na chhidko..

1) Bhole ke maathe ka chanda, Gaura ke maathe ka teeka - 2
Dono ki shaan niraali hai, magar meri Gaura pyaari hai

2) Bhole ke gale ka sarp, Gaura ke gale ka harwa - 2
Dono ki shaan niraali hai, magar meri Gaura pyaari hai

3) Bhole ke haath kamandal, Gaura ke haath ka kangana - 2
Dono ki shaan niraali hai, magar meri Gaura pyaari hai

4) Bhole ke ang baaghambar, Gaura ke sir ki choonar - 2
Dono ki shaan niraali hai, magar meri Gaura pyaari hai

5) Bhole ke pairon ke ghunghru, Guara ke pairon ki payal - 2
Dono ki shaan niraali hai, magar meri Gaura pyaari hai

For tune of this bhajan, you can visit below link -