Wednesday, 19 September 2018

Navchandi ke bhajan - Dekho chalne lagi thandi purvaayi ma


Dekho suraj ki kirane bikharne lagi, rang bharne lagi
Jaago Jaago Bhavani, Subah ho gai - 2
Bheed bhakton ki aayi ma tere dwar par, sabpar upkaar kar
Jaago Jaago Bhavani..

1) Dekho chalne lagi thandi purvaayi maa
Tere dwaare baje meethi shehnai maa - 2
Saath me dhol bhi maa bajne lage, Kyun na maa tu jage
Jaago Jaago Bhavani..

2) Bhavre gaane lage khil gai har kali
Ek khushbu si hai har taraf sang li - 2
Phool chun chun kar maalin laane lagi, Ghar sajaane lagi
Jaago Jaago Bhavani..

3) Jaage kismat meri jo tu khole nayan
Lagi bhagton ko tere daras ki lagan - 2
O kholo akhiyan maiya binti karun, Charno ko choom lun
Jaago Jaago Bhavani..

To listen to the tune of this song, visit below link -
Dekho chalne lagi thandi purvaayi maa

Namaste!

Krishna bhajan - Bhar de re Shyam jholi bhar de


Bhar de re, Shyam jholi bhar de bhar de
Na behelaa o baaton me - 2

1) Din beete, beeti raatein
Apni kitni hui re mulakaatein
Tune jaana, peh-chana
Tere jhoothe hue re, saare vaade
Bhoole re, Shyam tum toh bhule bhule
Kya rakha hai baaton me
Bharde re..

2) Nadaan hai, anjaan hai
Shyam tu hi mera bhagwaan hai
Tujhe chaahun, tujhe paaun
Mere dil ka yahi armaan hai
Padhle re, Shyam dil ki padhle padhle
Sab likha hai aankhon me
Bharde re..

3) Meri naiyya, O Kanhaiyya
Paar karde tu banke khivaiyya
Main toh haara, gam ka maara
Aaja aaja o bansi ke bajaiyya
Le Le Shyam, ab toh lele lele
Mere haath apne haathon me
Bharde re..

To listen to this melodious song sung by Indian ladies, visit -
Bhar de re Shyam jholi bhar de


Namaste!




Matarani ke sangeet - Maiyya Sun leejo araj tum meri



Maiyya sun leejo araj tum meri
Main toh saamne khadi maa teri - 2

1) Main agyaani hun, tu maa meri - 2
Apne charno me mujhe jagah di ni
Main toh samne..
Maiyya sun leejo..

2) Shraddha bhakti ki jyoti jalai - 2
Maiyya bass jao naino me meri
Main toh samne..
Maiyya sun leejo..

3) Laal chunariya main tumko uddhaun
Haathon me mehendi main tumko lagaun
Magan sadaa rahun seva me teri
Main toh samne..
Maiyya sun leejo..

4) Na chahun main sona chandi
Na chahun mahal ataari
Tere naam ki mala rahun feri
Main toh samne..

5) Jeevan naiyya maa tere hawaale
Teri beti maa hardam pukaare
Maiyya ban jao maanjhi tum meri
Main toh samne..
Maiyya sun leejo..

For tune of this song and to listen to the melody, you can visit below link -

Wednesday, 12 September 2018

Ganesh Chaturthi special song - Anand ke tum daata Gajanan


Anand ke tum daata Gajanan
Anand ke daata - 2

1) Girijadhar tumhare pita lagat hain - 2
Gaura lage teri mata Gajanan
Anand ke daata
Anand ke tum..

2) Brahmaji tumhare guru lagat hain - 2
Kartik tumhare bhrata Gajanan
Anand ke daata
Anand ke tum..

3) Riddhi Siddhi tumhari patni lagat hain - 2
Beti Santoshi mata Gajanan
Anand ke daata
Anand ke tum..

4) Modak ka tumko bhog lagat hai - 2
Aur kachhu nahi bhata Gajanan
Anand ke daata
Anand ke tum..

For tune of this bhajan, you can visit below link -

Ganesh Chaturthi bhajan - Pehle tumko manaun Gauri ke lala


Pehle tumko manaun, Gauri ke lala - 2
Sone ka main kalash dharaun - 2
Pehle tumko manaun..

1) Ganga se main jal bharwaaun - 2
Pehle tumko nilhaun, Gauri ke lala
Pehle tumko manaun..

2) Chandan ki chowki banwaaun - 2
Kesarwa chandan ghiswaaun
Pehle tilak lagaun, Gauri ke lala
Pehle tumko manaun..

3) Phulon ka harwa banwaaun - 2
Dhoop kapoor ki aarti utaarun
Charno me sheesh jhukaun, Gauri ke lala
Pehle tumko manaun..

4) Peela pat ka tohe banwaaun - 2
Laddooan ka main bhog lagaaun
Keertan bhajan karaun, Gauri ke lala
Pehle tumko manaun..

For tune of this bhajan, you can visit below link -
Pehle tumko manaun Gauri ke lala



Ganesh Chaturthi bhajan - Riddhi Siddhi ke data tum ho Ganpati


Riddhi Siddhi ke data, Tum ho Ganpati
Meri bigadi bana do, toh kya baat hai
Riddhi Siddhi..

1) Maine aasan banaye tumhare liye - 2
Tum aake virajo toh kya baat hai
Riddhi Siddhi..

2) Maine bhojan banaye tumhare liye - 2
Tum bhog laga lo toh kya baat hai
Riddhi Siddhi..

3) Maine pitambar mangaye tumhare liye - 2
Tum dhaaran jo karlo toh kya baat hai
Riddhi Siddhi..

4) Maine paan mangaye tumhare liye - 2
Tum aakar ke chaabo toh kya baat hai
Riddhi Siddhi..

5) Maine sindoor mangaya tumhare liye - 2
Tum tilak laga lo toh kya baat hai
Riddhi Siddhi..

6) Main sej bichhai tumhare liye - 2
Vishram jo kar lo toh kya baat hai
Riddhi Siddhi..

For tune of this bhajan, you can visit below link -
Riddhi Siddhi ke data tum ho Ganpati

Ganesh Chaturthi bhajan - Main toh pujungi Gauri Ganesh, Gajanan pyara lage


Main toh pujungi Gauri Ganesh,
Gajanan pyara lage

1) Mandir me dekhi teri murat - 2
Sabse niraali albeli surat
Riddhi Siddhi ke tum ho Ganesh
Gajanan pyara lage
Main toh pujungi..

2) Bhog lagaun laddoo mewa chadhaun - 2
Shankar ji Gaura ji ko manaun
Bharat jaisa hai bhakton ka desh
Gajanan pyara lage
Main toh pujungi..

3) Baithi hun mandir me aake - 2
Kab pure karoge kaaj hamare
Sab devon me pehle Ganesh
Gajanan pyara lage
Main toh pujungi..

For tune of this bhajan, you can visit below link -

Saturday, 8 September 2018

Ganesh bhajan - Pratham Nimantran Aapko Gajanand Sarkar


Pratham nimantran aapko, gajannan sarkaar
Mera kirtan safal bana do, karlo vintee sweekar

1) Sab devon me sabse pehle, hoti teri hi pooja
Teeno lokon me nahi dekha, dev kahin tumsa dooja
Mere kirtan me aajao, o mooshe pe sawaar
Pratham nimantran..

2) Nirmal komal dene wale, kodhin ko dete kaaya
Yam kuber digpaal ne bhi, bhed tumhara na paaya
Teri teen lok me mahima, gunje hai jai jaikaar
Pratham nimantran..

3) Riddhi siddhi ke daata, aakar maan badha jaao
Prem bhaav se karein prarthana, aakar bhog laga jaao
Kya soch rahe man mauji, ab kaisa soch vichaar
Pratham nimantran..

For tune of this bhajan, you can visit below link -

Shiv bhajan - Mera bhola bada bhola bhala


Dekho dera pahadiyon pe dala, mera bhola bada bhola bhala
Dekho dera..

1) Sabke laane mahal ataari, raaj paat raajdhaani
Rupya paisa sabke laane, aur khushiyan manmaani
Aisa kaam hai unka niraala
Mera bhola bada bhola bhala

2) Sabke laane haathi ghoda, khud nandi ko paale
Heere haar jawaahar sabko, khud hain kaale (naag) paale
Pehne kati me hain kehari ki chhala
Mera bhola bada bhola bhala

3) Sabke laane itar atar hain, aur tel albela
Khud ke laane bhasam lagaye, gale mund ki mala
Aiso roop hai unka niraala
Mera bhola bada bhola bhala

4) Sabke laane bhog hain chhappan, satrang ras hain raseele
Khud ke laane bhaang dhatoora, aur bhangiya ka pyala
Bhaang peekar hue matwala
Mera bhola bada bhola bhala

For tune of this bhajan, you can visit below link -
Mera bhola bada bhola bhala